Sunday, January 13, 2008

journey with u

aamne saamne baithe rahen,
baaton ke daur chalte rahen,
beech beech me khamoshiyaan hon,
jab mai sirf dekhu tumhe,
fir jab tum meri nazar pakad lo,
to mai khidki se baahar dekhne lagu.
mudda badal du achanak,
mausam ki baat karu,
ya nazaroon ki,
ya safar ki khoobsoorati ki,
tab tak jab tak ham fir ghum fir kar,
waapas apne baare me baaten karne lag jaayen.
fir baaton baaton me hi din nikal jaaye
shaam ho jaaye aur tumhara chehra dhundhla ho jaaye,
jaise jaise din aur dhalta jaaye,
chhipte sooraj ke saath saath aur ojhal hota chala jaaye chehra tumhara,
itna ki ant me sirf aakriti nazar aaye uski mujhe.
fir mai tumhara naam lu
ye jaan ne ke liye, kahin baithe baithe so to nahi gai tum,
tumhe nind aa rahi ho,
aur mai laru tumse,
zid karu ki baat karo mujhse,
kitni mushkil se ye din churaya hai,
ise yu mat gawaao,
lekin tum dikho majboor,
apni bojhil aankhon ke aage.
fir seat badal kar, tum baith jaao mere nazdik,
aur so jaao wahin,
mere kaandhon pe sar rakh ke.
aur,
kaash,
waqt bas ruk hi jaayen wahaan,
bas ruk hi jaaye...